12/09/2026
“قَدْ أَفْلَحَ مَن زَكَّاهَا وَقَدْ خَابَ مَن
دَسَّاهَا”
Yaqeenan woh shakhs kamyab ho gaya jis ne apne nafs ko paak kiya, aur woh nakaam ho gaya jis ne usay dasa diya
Asal kamyabi sirf maal, business, status ya duniya ki achievement ka naam nahi. Asal kamyabi yeh hai ke banda apne nafs ko paak kare,
bitha dou apnay dimag mien *Zindagee fani hai* *Jou milta hai Allah se milta hai* *Jou houta hai Allah se houta hai*
Hadees ka mafhoom
Jis ke liye dua ke darwazay khul gaye, goya us ke liye rehmat ke darwazay khul gaye.
Hadees ka mafhoom Dua ibaadat ka maghaz hai
Dua ko roz ka mamool 5times atleast har namaz mien banao
dua khud ibaadat hai.
Achhi, comprehensive aur powerful duaein seekho aur Allah se maango.
Jo acha lagay, maango.
Jo zaroorat ho, maango.
Jo baat dil mein ho, Allah se maango.
Duniya ki bhi maango aur aakhirat ki bhi.
Allah farmata hai:
“فَاذْكُرُونِي أَذْكُرْكُمْ”
Tum mujhe yaad karo, main tumhein yaad karunga.
“أَلَا بِذِكْرِ اللَّهِ تَطْمَئِنُّ الْقُلُوبُ”
Sun lo Allah ke zikr hi se dilon ko itminan milta hai
Asbaab bhi ikhtiyar karne hain (Ijmalan) — doctor ke paas jana hai, business/work karna hai, planning karni hai, mehnat karni hai — lekin asbaab se pehle aur asbaab ke saath Allah se dua karni hai.
Bohat se kaam dua se asaan ho jate hain. Bohat si mushkilaat Allah dua ki wajah se door farma dete hayn
⸻
Duniya maal ke liye nahi, Allah ke liye.
Maal buri cheez nahi.
*maal ki muhabbat sayi nhin*
Hadees ka mafhoom - Duniya ki muhabbat har khata ki bunyaad hai
Business karo, kamao, enjoy karo, family ke saath khushi se raho — lekin dil Allah ka hona chahiye
Zindagi ka balance
“Nisf-ul-ma’eeshat” yani ma’eeshat mein i’tidaal aur miyaana rawi — na fazool kharchi, na kanjoosi.
Asal Formula
*Nafs ka paak karna*
1. Allah walon ki sohbat
2. Namaz + Qur’an + Zikr & Dua
3. Willpower
Ghalti ho jaye to foran tawbah aur wapsi.
⸻
Major Gunahon se Bachna
Dil:
* Takabbur
* Riya / dikhawa
* Hasad
* Bugz / barai etc
Zaban:
* Jhoot
* Gheebat
* Bad-akhlaqi
Aankhen:
* Bad-nazri